Showing posts with label poetry. Show all posts
Showing posts with label poetry. Show all posts

Sunday, 17 November 2013

Kanha


Us anjaane dhun ki aahat,
Pairon ke thirakne ki chaahat,
Man ke jasbaaton ki sharaarat,
Nazron ki jhuki si vo nazakat.

Pal bhar main taal se taal mile,
Nainon main bas teri chavi khile,
Koyle sa tan aur vastre peele
Teri murali par saara sansaar hile.

Aaj har gopi teri radha hai,
Rooh ke samarpan ka waada hai,
Bas tujhse dil ko baandha hai,
Main adhoori aur tu mera aadha hai.

Mor-mukut ka pankh hoon main,
Chori ke maakhan ka swaad hoon main,
Gopiyon ka niswarth prem hoon main,
Tere raasleela ka nritya hoon main.

Aaj duniya ka mujhe hosh nahi,
Sab jhoom rahe, koi khamosh nahi
Par mujhe sirf tu dikhe yeh mera dosh nahi
Teri raasleela sirf mere liye hai,
Fir chaahe yeh kehna mera moh sahi.  


P.s: This poem is symbolic of what dance means to me. My choreography always involves elements from Krshna's life and while performing I feel in one with him- As Radha was to Krishna!


Monday, 21 October 2013

Pehli Yaadein


Kya yaad hai tumhe vo pehli mulakaat?
Hamare beech kuch 20 seediyon ka faasla tha,
Aur July ki thi vo pehli barsaat
Na jaane peeche mudkar kyun dekha maine,
Tum bhi muskuraakar mujhe hi dekh rahe the
Shayad mere chaate par nazar daal rahe the.
Us do pal ke khamosh alfaaz
Zindagi ban jayege, yeh na socha tha.
Fir kabhi yehi yaad mere dil ko tatolte
Kuch pal ke aansoon de jayenge, yeh na socha tha.

Aaj firse mudkar dekhne ka man hai,
Usi barish main bheegne ka man hai
Tum wahi khade rehna muskuraate hue.
Kyunki aaj ek baar fir vo pal jeene ka man hai. 

Kya yaad hai tumhe vo pehli baar haath pakadna?
Gaalon ka sharmaana, hoton ka umadte jasbaat dabaana
kuch pal tanha guzarne ki chaah main dil ka tadapna.
Tumne chimti kaati thi mujhe zor ki,
Gusse main haath hataya tha maine.
Pyaar se mere haathon ko choomkar
Apne haathon ke beech chupa liya tha tumne.
Tumhara pyaar se satana,
Zindagi ban jayegi, yeh na socha tha
Fir yehi pyaar dil ko satate hue dard ban kar
kuch pal ke ansoon de jayegi, yeh na socha tha.

Aaj fir dil ko tadpaane ka man hai,
Bematlab ki baton par naraaz hone ka man hai,
Tum mera haath apne hathon ke beech chupa lena
Kyunki aaj ek baar fir vo pal jeene ka man hai.

Kya yaad hai tumhe humari vo pehli takraar?
Ek hafte tak roz tumhara number milakar kaat deti thi
Aur Raat ko takiye se apna saara gum baant leti thi.
Aakhir jab 7 din baad darwaaze par tumhe dekha
Toh yeh bhi bhool gayi ki kis baat par naraaz hui thi,
Pal bhar main sulah bhi ho gayi aur pyaar bhari baatein bhi ki,
Ek doosre ke ankahi baton ko samajhne ki
anginat kasmain vaadein bhi ki.
Tumse yun kasmon se jud jaana
Zindagi ban jayegi, yeh na socha tha
Fir yehi toote kasmain mere dil ko chubakar,
Kuch pal ke aansun de jayenge, yeh na socha tha.

Aaj fir tumse roothne ka man hai,
Door rehkar tumhe meri yaad dilaane ka man hai
Par is baar tumhe mananne ka mauka nahi denge
Ab bas khudko jeena sikhaane ka man hai.

Kyunki aaj aakhri baar in palon ko yaad karne ka man hai!


Sunday, 22 September 2013

PANNE

Ek kitab thi bahut hi pyaari,
Nayi si vo safed panno waali
Uspar ik daastan likne, maine
Kaali siyaahi ki sheeshi thi nikali.           


Kis pal ki galti thi vo kya pata,
Aaj bhi poochti hoon khudse hi
Laaparwaahi thi ya fir janboochkar
Maine panno par syaahi gira di.

Pehle panne par jo giri syaahi
Har panne ko seenchti chal gayi
Ab kone kone main kala dhabba hai
Aur kahaani toh shuru bhi nahi ki thi.

Syaahi ke saaye se kuch pal bachakar
Kaise sajaaoon unhe in panno par yoon
Yaadein bhi kaali pad gayi aur pal bhi
Shayad ab safed rang se kalam bhar loon.

Fir dhabbo se na jasbaat dabenge
Bun bhi loongi main kuch pal naye
Un rang- berang panno par aaj
Kya pata ek naya afsaana mil jaaye. 


Thursday, 5 September 2013

Meri Saheli

Aakhir tum aa hi gayi mujhse milne 
Is saal badi der laga di aane main,
Kya meri yaad nahi dilayi tumhare dilne?

Badlon par sawaar bahut door se aayi ho
Kahi kahaniyaan bhi suni hongi?!
Ab kuch chatpate kisse mujhpar barsa bhi do.

Arre kya hua, roothi kyun ho mujhse?
Yun badlon ki godh main kab tak chipogi?
Shikayatein garaj do aur nikaldo apne dilse.

Tumne apni mohabbat ka zikre nahi kiya
Naraaz toh khair hum bhi hai tumse,
Itni purani dosti ka tumne aisa sila diya?

Ab gaalon ko sehlakar mana bhi rahi ho
Tumse kab tak mooh phere baithoongi,
Is baras ki aakhri aas bhi toh tum hi ho. 

Bas bhiga do mujhe apne ehsaas main
Ki yoon kho jaaun khudse anjaan hokar
Ab is pal hi toh tum ho, yeh pal hi toh mera hai.