Monday 21 October 2013

Pehli Yaadein


Kya yaad hai tumhe vo pehli mulakaat?
Hamare beech kuch 20 seediyon ka faasla tha,
Aur July ki thi vo pehli barsaat
Na jaane peeche mudkar kyun dekha maine,
Tum bhi muskuraakar mujhe hi dekh rahe the
Shayad mere chaate par nazar daal rahe the.
Us do pal ke khamosh alfaaz
Zindagi ban jayege, yeh na socha tha.
Fir kabhi yehi yaad mere dil ko tatolte
Kuch pal ke aansoon de jayenge, yeh na socha tha.

Aaj firse mudkar dekhne ka man hai,
Usi barish main bheegne ka man hai
Tum wahi khade rehna muskuraate hue.
Kyunki aaj ek baar fir vo pal jeene ka man hai. 

Kya yaad hai tumhe vo pehli baar haath pakadna?
Gaalon ka sharmaana, hoton ka umadte jasbaat dabaana
kuch pal tanha guzarne ki chaah main dil ka tadapna.
Tumne chimti kaati thi mujhe zor ki,
Gusse main haath hataya tha maine.
Pyaar se mere haathon ko choomkar
Apne haathon ke beech chupa liya tha tumne.
Tumhara pyaar se satana,
Zindagi ban jayegi, yeh na socha tha
Fir yehi pyaar dil ko satate hue dard ban kar
kuch pal ke ansoon de jayegi, yeh na socha tha.

Aaj fir dil ko tadpaane ka man hai,
Bematlab ki baton par naraaz hone ka man hai,
Tum mera haath apne hathon ke beech chupa lena
Kyunki aaj ek baar fir vo pal jeene ka man hai.

Kya yaad hai tumhe humari vo pehli takraar?
Ek hafte tak roz tumhara number milakar kaat deti thi
Aur Raat ko takiye se apna saara gum baant leti thi.
Aakhir jab 7 din baad darwaaze par tumhe dekha
Toh yeh bhi bhool gayi ki kis baat par naraaz hui thi,
Pal bhar main sulah bhi ho gayi aur pyaar bhari baatein bhi ki,
Ek doosre ke ankahi baton ko samajhne ki
anginat kasmain vaadein bhi ki.
Tumse yun kasmon se jud jaana
Zindagi ban jayegi, yeh na socha tha
Fir yehi toote kasmain mere dil ko chubakar,
Kuch pal ke aansun de jayenge, yeh na socha tha.

Aaj fir tumse roothne ka man hai,
Door rehkar tumhe meri yaad dilaane ka man hai
Par is baar tumhe mananne ka mauka nahi denge
Ab bas khudko jeena sikhaane ka man hai.

Kyunki aaj aakhri baar in palon ko yaad karne ka man hai!


8 comments:

  1. Ise kehte hain kavita ! bahut khoob !

    ReplyDelete
  2. So proud! And stunned. And agli baari natak karke dekhna zarra.

    ReplyDelete
  3. The last para suggests its a break up poem although while reading it, I dint get that feeling at all ...

    Is that observation correct dude?

    Very nicely written btw :) the little details you capture are cute :)

    ReplyDelete
  4. Hey Ani. Its more of a remembering memories and realizing the need to let go. and thank you :)

    ReplyDelete