Aakhir tum aa hi gayi mujhse
milne
Is saal badi der laga di aane main,
Is saal badi der laga di aane main,
Kya meri yaad nahi dilayi
tumhare dilne?
Badlon par sawaar bahut door se aayi ho
Ab kuch chatpate kisse
mujhpar barsa bhi do.
Arre kya hua, roothi kyun ho
mujhse?
Yun badlon ki godh main kab tak chipogi?
Yun badlon ki godh main kab tak chipogi?
Shikayatein garaj do aur
nikaldo apne dilse.
Tumne apni mohabbat ka zikre
nahi kiya
Naraaz toh khair hum bhi hai
tumse,
Itni purani dosti ka tumne
aisa sila diya?
Ab gaalon ko sehlakar mana
bhi rahi ho
Tumse kab tak mooh phere
baithoongi,
Is baras ki aakhri aas bhi
toh tum hi ho.
Bas bhiga do mujhe apne ehsaas main
Ki yoon kho jaaun khudse
anjaan hokar
Ab is pal hi toh tum ho, yeh pal hi toh mera hai.